Sunday, 15 January 2023

Log Zalim Hain Pholon Ko Masal Dety Hain



Hum Ne Kanton Ko Bhi Narmi Se Chhuwa Hai Aksar,

Log Zalim Hain Pholon Ko Masal Dety Hain..!

#Kitabeishq

ہم نے کانٹوں کو بھی نرمی سے چھوا ہے اکثر

لوگ ظالم ہیں پھولوں کو مسل دیتے ہیں.

*کِتِـــابِ عِشَّــــق٘*

Thursday, 12 January 2023

Kitni Dilkash Ho Tum Kitna Dilju Hon Main, Kya Sitam hai Keh Hum Log Mar Jayein Gy



بے دِلی کیا یونہی دن گزر جائیں گے 

صرف زندہ رہے ہم تو مر جائیں گے  

رقص ہے رنگ پر رنگ ہم رقص ہیں 

سب بچھڑ جائیں گے سب بکھر جائیں گے  

یہ خراباتیانِ خرد باختہ 

صبح ہوتے ہی سب کام پر جائیں گے  

کتنی دلکش ہو تم کتنا دل جُو ہوں میں 

کیا ستم ہے کہ ہم لوگ مر جائیں گے  

ہے غنیمت کہ اسرار ہستی سے ہم 

بے خبر آئے ہیں بے خبر جائیں گے.

جون ایلیاء

Be Dili Kya Younhi Din Guzar Jayein Gy,

Sirf Zinda Rahe Hum To Mar Jayein Gy,

Raqs Hai Rang Par Rang Hum Raqs Hain,

Sub Bichar Jayein Gy Sab Bikhar Jayein Gy,

Ye Kharabatiyan e Khard Bakhta,

Subha Hoty Hi Sab Kam Par Jayein Gy,

Kitni Dilkash Ho Tum Kitna Dilju Hon Main,

Kya Sitam hai Keh Hum Log Mar Jayein Gy,

Hai Ganeemat Keh Asrar Basti Se Hum,

Be Khabar Aye Hain Be Khabar Jayein Gy.

Jaun Elia.

Tuesday, 10 January 2023

Koi Talluq Hi Na Rahe, Jaun Elia.

Koi Talluq Hi Na Rahe,  Jab Keh Sabab Bhi Baqi Ho,  Kya Main Ab Bhi Zinda Hon?  Kya Tum Ab Bhi Baqi Ho?  Jaun Elia. #Kitabeishq

Koi Talluq Hi Na Rahe,

Jab Keh Sabab Bhi Baqi Ho,

Kya Main Ab Bhi Zinda Hon?

Kya Tum Ab Bhi Baqi Ho?

Jaun Elia.

.

کوئی تعلق ہی نہ رہے 

جب کہ سبب بھی باقی ہو

کیا میں اب بھی زندہ ہوں ؟

کیا تم اب بھی باقی ہو ؟

جون ایلیا

Wednesday, 13 May 2020

Khwaab Palkon Ki Hatheli Pe Chuny Rehty Hain || Sad Poetry || Khalil Ur ...


Khwaab Palkon Ki Hatheli Pe Chuny Rehty Hain || Sad Poetry || Khalil Ur Rehman Qamar

Ghazal: Khwaab Palkon Ki Hatheli Pe Chuny Rehty Hain
Poet:     Khalil Ur Rehman Qamar
Voice:    ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry #KhwaabPalkonKi #HatheliPeChunyRehtyHain #KhalilUrRehmanQamar
============================================
Khalil Ur Rehman Qamar

Khwaab  Palkon Ki Hatheli Pe Chuny Rehty Hain,
Kon Jany Wo Kabhi Neend Churany Aye,

Mujh Pe Utre Mere Alhaam Ki Barish Ban Kar,
Mujhko Ik Boond Samunder Mein Chupane Aye,

Jab Main Sanwron To Wo Gulnaar Kare Mera Tabassum,
Jab Main Hans Don To Wo Ghoncha Sa Chatakhna Chahy,

Jab Main Tanha Hon, Mera Hath Pakar Le Aa Kar,
Jab Main Chup Hon To Wo Badal Sa Barasna Chahy,

Meri Barson Ki Udasi Ko Sila Kuch To Mily,
Us Se Keh Do Wo Mera Karz Chukany Aye,

Wo Mere Kanpte Honton Ki Sadaein Sun Le,
Ya Mere Zapt Ko Izhaar Ka Lehja Dede,

Ya Mujhe Tor De Ik Gehri Nazar Se Chhu Kar,
Ya Mujhe Choom Ke Takhleeq Ko Sancha Dede,

Meri Tarteeb Utha Jaye Khuda Ki Manind,
Aur Mitt Jaon To Phir Mujh Ko Bnane Aye,

Khwaab  Palkon Ki Hatheli Pe Chuny Rehty Hain,
Kon Jany Wo Kabhi Neend Churany Aye...!

Sunday, 12 April 2020

Bahti Hui Aankhon Ki Rawani Mein Mare Hain || Sad Poetry || KitaB e IshQ


Bahti Hui Aankhon Ki Rawani Mein Mare Hain || Sad Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Bahti Hui Aankhon Ki Rawani Mein Mare Hain
Poet:     Ejaaz Tawakkal
Voice:    ZiShi Rajpoot


============================================ 
#SadPoetry #BahtiHuiAankhonKiRawaniMeinMareHain
============================================
Sad Poetry
"Ejaaz Tawakkal"

Bahti Hui Aankhon Ki Rawani Mein Mare Hain,
Kuchh khwaab Mere Ain Jawani Mein Mare Hain...

Rota Hun Main Un Lafzon Ki Qabron Pe Kaii Bar,
Jo Lafz Meri Shola-Bayani Mein Mare Hain...

Kuchh Tujh Se Ye Doori Bhi Mujhe Maar Gai ,
Kuchh Jazbe Meri Naqal Makani Mein Mare Hain...

Qabron Mein Nahin Hum ko Kitabon Mein Utaro,
Hum Log Muhabbat ki kahani Mein Mare Hain...

Is Ishq Ne Aakhir Humein Barbaad Kiya Hai,
Hum Log Isi Khaulte Paani Mein Mare Hain...

Kuchh Had Se Zyada Tha humein Shauq-e-Mohabbat,
Aur Hum Hi Mohabbat ki Girani Mein Mare Hain.!!

Thursday, 2 April 2020

Wo Rasty Tark Karta Hon Wo Manzil Chor Deta Hon || Sad Poetry || KitaB e...


Wo Rasty Tark Karta Hon Wo Manzil Chor Deta Hon || Sad Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Wo Rasty Tark Karta Hon Wo Manzil Chor Deta Hon
Poet:     Unknown
Voice:    ZiShi Rajpoot

Special Thanks To Zia Anjum Sir For Proving me the Full Ghazal.

============================================ 
#SadPoetry #WoRastyTarkKartaHon #WoManzilChorDetaHon
============================================
Sad Poetry

Wo Rasty Tark Karta Hon Wo Manzil Chor Deta Hon,
Jahan Izzat Nhi Milti Wo Mehfil Chor Deta Hon,

Kinaron Se Agr Meri Khudi Ko Thais Pohanche To,
Bhanwar Mein Doob Jata Hon Main Sahil Chor Deta Hon,

Mujhe Mange Hovy Saaye Hamesha Dhoop Lagte Hain,
Main Suraj Ke Galy Parta Hon Badil Chor Deta Hon,

Talluq Youn Nahein Rakhta Kabhi Rakha Kabhi Chora,
Jisy Main Chorta Hon Phir Musalsal Chor Deta Hon,

Gullon Se Jab Nahein Banti To Unse Jinko Nisbat Hai,
Wo Sary Titliyan Jugnu Anadil Chor Deta Hon,

Meri Chahat Ki Darparda Bhi Gar Tazleel Kar Dein Jo,
Wo Gazzy Bhool Jata Hon Wo Kajal Chor Deta Hon,

Dil e Azaad Ne Mujhko Sada Hi Dard Mein Rakha,
Main Apne Dil Ko Paband e Salasil Chor Deta Hon,

Meri Khwabon Se Nafrat Ka Ye Bazmi Ab To Alam Hai,
Main Sota Hi Nahein Ankhon Ko Bojhal Chor Deta Hon..!

Tuesday, 31 March 2020

Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do || Urdu Poetry || KitaB e IshQ


Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do || Urdu Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do
Poet:     Unknown
Voice:    ZiShi Rajpoot

============================================ 
#UrduPoetry #EhsasMuhabbatKaMeriZaatPeRakhDo
============================================
Urdu Poetry

Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do,
Tum Aisa Karo Hath Mein Mere Hath Rakh Do,

Maloom Hai Dharkan Ka Taqaza Bhi Hai Lekin,
Ye Bat Kisi KHaas Mulaqat Pe Rakh Do,

Youn Pyar Se Milna Bhi Munasib Nhi Lagta,
Ye Khwaab Ka Qissa Hai Isy Raat Pe Rakh Do,

Izhaar Zaruri Hai To Keh Do Zubaan Se,
Ye Dil Ki Kahani Hai Rawayat Pe Rakh Do,

Ye Pyar Ki Khushbo Mein Naya Rakh Bhary Ga,
Ik Phool Utha Kar Mere Jazbaat Pe Rakh Do,

Har Waqt Tumhare Hi Tassawar Mein Rahon Main,
Jadoo Sa Koi Mere Khayalat Pe Rakh Do,

Ik Main Keh Mere Sheher Mein Barish Nahi Hoti,
Ik Tum Keh Mulaqat Ko Barsaat Pe Rakh Do,

Manoo Gi Seher Tab Hi Keh Jab Bat Bany Gi,
Is Bar Meri Jeet Meri Maat Mein Rakh Do...!