Saturday, 22 February 2020

Khat Hi Kiyun Likhe Jayen - Jaun Elia || Sad Poetry || KitaB e IshQ


Khat Hi Kiyun Likhe Jayen - Jaun Elia || Sad Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Khat Hi Kiyun Likhe Jayen
Poet:    Jaun Elia
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================
#SadPoetry
==============================================

Tum Mujhe Btao To
Khat Hi Kiyun Likhe Jayen
Fariha, Nigareena
Tum Ne Mujh Ko Likha Hai,
Mere Khat Jala Deejiye
Mujh Ko Fikr Rehti Hai,
Aap Inhein Ganwa Deejiye
Ap Ka Koi Sathi, Dekh Le To Kya Ho Ga
Dekhiye Main Kehti Hoon, Yeh Bahot Bura Ho Ga

Main Bhi Kuchh Kahoon Tum Se

Fariha, Nigareena
Ai  Banazuki Meena,
Itr-E-Be-Nazina
Rashk-E-Sar-Ba-Sina

Main Tumhaare Har Khat Ko, Lauh-E-Dil Samajhta Hoon
Lauh-E-Dill Jala Doon Kya
Jo Bhi Satar Hai In Ki,
Kehkashan Hai Rishton Ki
Kehkashan Luta Doon Kya
Hai Sawad-E-Beenai In Ka Jo Bhi Nuqta Hai
Main Inhein Ganwa Doon Kya
Jo Bhi Harf Hai In Ka,
Naqsh-E-Jaan Hai Jaanaana hai
Naqsh-E-Jaan Mita Doon Kya

Lauh-E-Dill Jala Doon Kya
Kehkashan Luta Doon Kya
Naqsh-E-Jaan Mita Doon Kya


Mujh Ko Likh Ke Khat Jaanam
Apne Dhyan Mein Shayad
Khwaab, Khwaab Jazbon Ke
Khwaab, Khwaab Lamhon Mein

Yun Hi Be Khayalana, Jurm Kar Gayi Ho Tum,
Aur Khayal Aane Par, Uss Se Dar Gayi Ho Tum

Jurm Ke Tasawwur Mein, Gar Yeh Khat  Likhe Tum Ne,
Phir To Meri Raaye Mein, Jurm Hi Kiya Tum Ne

Jurm Kyon Kiye Jaayen
Khat Hi Kiyun Likhe Jayen

No comments:

Post a Comment