Thursday, 2 April 2020
Wo Rasty Tark Karta Hon Wo Manzil Chor Deta Hon || Sad Poetry || KitaB e...
Wo Rasty Tark Karta Hon Wo Manzil Chor Deta Hon || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Ghazal: Wo Rasty Tark Karta Hon Wo Manzil Chor Deta Hon
Poet: Unknown
Voice: ZiShi Rajpoot
Special Thanks To Zia Anjum Sir For Proving me the Full Ghazal.
============================================
#SadPoetry #WoRastyTarkKartaHon #WoManzilChorDetaHon
============================================
Sad Poetry
Wo Rasty Tark Karta Hon Wo Manzil Chor Deta Hon,
Jahan Izzat Nhi Milti Wo Mehfil Chor Deta Hon,
Kinaron Se Agr Meri Khudi Ko Thais Pohanche To,
Bhanwar Mein Doob Jata Hon Main Sahil Chor Deta Hon,
Mujhe Mange Hovy Saaye Hamesha Dhoop Lagte Hain,
Main Suraj Ke Galy Parta Hon Badil Chor Deta Hon,
Talluq Youn Nahein Rakhta Kabhi Rakha Kabhi Chora,
Jisy Main Chorta Hon Phir Musalsal Chor Deta Hon,
Gullon Se Jab Nahein Banti To Unse Jinko Nisbat Hai,
Wo Sary Titliyan Jugnu Anadil Chor Deta Hon,
Meri Chahat Ki Darparda Bhi Gar Tazleel Kar Dein Jo,
Wo Gazzy Bhool Jata Hon Wo Kajal Chor Deta Hon,
Dil e Azaad Ne Mujhko Sada Hi Dard Mein Rakha,
Main Apne Dil Ko Paband e Salasil Chor Deta Hon,
Meri Khwabon Se Nafrat Ka Ye Bazmi Ab To Alam Hai,
Main Sota Hi Nahein Ankhon Ko Bojhal Chor Deta Hon..!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment