Saturday, 29 February 2020
Tum Kaha Jaoge Ham Kahan Jayenge-Jaun Elia || Urdu Poetry || KitaB e IshQ
Tum Kaha Jaoge Ham Kahan Jayenge-Jaun Elia || Urdu Poetry || KitaB e IshQ
Ghazal: Tum Kaha Jaoge Ham Kahan Jayenge
Poet: Jaun Elia
Voice: ZiShi Rajpoot
============================================
#UrduPoetry
============================================
Jaun Elia
Tum Kaha Jaoge Ham Kahan Jayenge
Hai Bikharne Ko Yeh Mehfil-e-Rang Boo,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge
Har Taraf Ho Rahi hai Yahi Guftagoo,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge
Har Mata-e-Nafas,Nazar Aahang ki,
Hum ko Yaran hawas Thi Bohot Rang ki
Gul Zameen Se Ubalne ko hai Ab Lahoo,
Tum kahan Jao ge hum kahan jayein ge
Awal e Shab Ka Mehtab Bhi Ja Chuka,
Sehn e Mekhana Se Ab Ufaq Mein Kahein,
Akhr e Shab Hai Khali Hain Jam o Suboo,
Tum Kahan Jaoge, Hum Kahan Jayein ge
Koi Hasil Na Tha Aarzoo Ka Magar,
Saanha Ab hai Yeh Aarzoo Bhi Nahin
Waqt ki is Masafat Mein Be Aarzoo,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge
Kis Qadar Door Se Lout kar Aye hain,
Yoon kaho Umer Barbad kar Aye hain
Tha Saraab Apna Sarmaye-e-justaju,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge
ik Junoon Tha ki Aabad ho shehr-e-jaan
Aur Aabad Jab Shehr-e-Jaan ho gaya
Hain yeh Sargoshiyan Dar Badar ku baku,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge
Dasht Mein Raqs e Shouk e Baharan Ab Kahan,
Baad PeMai Deewana War Ab Kahan,
Bas Guzarne Ko Hai Mousam e Hao Hoo
Tum Kahan Jaoge, Tum Kahan Jayein Gy,
Hum Hain Ruswa Dakkan Dilli e Lakhnao
Apni Kya Zindagi Apni Kya Aabru,
MEER Dilli Se Nikly Gaye Lakhnao,
Tum Kahan Jao Gy, Hum Kahan Jayein Gy...!
Friday, 28 February 2020
Halaat-E-Haal Mein Kiya Roo Kay Sunaoo || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Halaat-E-Haal Mein Kiya Roo Kay Sunaoo || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Ghazal: Halaat-E-Haal Mein Kiya Roo Kay Sunaoo
Poet: MUBASHIR SAEED
Voice: ZiShi Rajpoot
============================================
#SadPoetry
============================================
Kalam - MUBASHIR SAEED
Haalat-e-Haal Main kya Ro ke Sunaun Tujhko,
Tu Nazar Aye To Palkon Pe Bithaun Tujhko,
Sahib e Hosh Mein Madhosh Banane ke liye,
Aayat-e-Husan Parhon Or Dekhta Jaun Tujhko,
Tu Nahin Manta Mitti ka Dhuan ho Jaana,
To Abhi Raqs Karun ho ke Dikhaun Tujhko,
Kar liya ek Mohabbat Pe Guzara main ne,
Chahta tha ki Main Pura Bhi to Aaun Tujhko,
Ab Mera ishq Dhamalon Se kahin Aage hai,
Ab Zaruri hai ki main Wajd Mein laun Tujhko,
Kyun kisi Aur ki Aankhon ka Qasida likkhun,
Kyun kisi Aur ki Midhat Se Jalaun Tujhko,
Ain Mumkin hai Tere ishq Mein Zam ho Jaun,
Aur Phir Dhyan ki Jannat Mein Na laun Tujhko,
Us Ne ek Bar Mujhe Pyar Se Bola Tha 'Saeed'
Mera Dil hai Kabhi Seeny Se Lagaun Tujhko...!
Wednesday, 26 February 2020
Sadgi To Humari Zara Dekhiye || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Sadgi To Humari Zara Dekhiye || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Ghazal: Sadgi To Humari Zara Dekhiye
Poet: Unkown
Voice: ZiShi Rajpoot
============================================
#SadPoetry
============================================
Sadgi To Humari Zara Dekhiye,
Aitbar Ap ke Wadon Pe Kar Liya,
Baat To Siraf ik Raat Ki Thi,
Magar Intzaar Apka Umar Bhar Kar Liya,
IshQ Mein Uljhane Pehly Hi Kam Na Thein
Aur Paida Naya Dard e Sar Kar Liya,
Log Darte Hain Qatil Ki Parchai Se,
Hum Ne Qatil K Dil Mein Bhi Ghar Kar Liya,
Zikar ik Be Wafa Aur Sitam Gar Ka Tha,
Ap Ka Aisi Baton Se Kya Wasta,
Ap To Be Wafa Aur Sitam Gar Nhi,
AP Ne Kis Liye Mu Idhar Kar Liya,
Zindagi Bhar K Shikwy Gily Thy Bohat,
Waqt Itna Kahan Tha Keh Dohrate Hum,
Ek Hichki Mein Keh Dali Sub Dastan,
HumNe Qissy Ko Youn Mukhtasir Kar Liya,
Be Qrari Mily Gi Mujhe Na Sakoon,
Chain Chhin Jaye Ga Neend Ur Jaye Gi,
Apna Anjam Sub Humko Maloom Tha,
Ap Dil Ka Soda Magar Kar Liya,
Zindagi K Safar Mein Bohat Door Tak,
Jab Koi Dost Aya Na Humko Nazar,
HumNe Ghabra K Tanhaiyon Se Saba,
Ek Dushman Ko Khud HumSafar Kar Liya...!
Tuesday, 25 February 2020
Koi Umeed Bar Nahi Aati || Urdu Ghazal || KitaB e IshQ
Koi Umeed Bar Nahi Aati || Urdu Ghazal || KitaB e IshQ
Ghazal: Koi Umeed Bar Nahi Aati
Poet: Mirza Ghalib
Voice: ZiShi Rajpoot
============================================
#UrduGhazal
==============================================
Mirza Ghalib Ghazal
Koi Umeed Bar Nahi Aati,
Koi Soorat Nazar Nahi Aati…
Mout Ka Aik Din Muayyan Hai
Neend Kion Raat Bhar Nahi Aati..?
Aage Aati Thi Haal-E-Dil Pe Hansi,
Ab Kisi Baat Pe Nahi Aati…
Janta Hun Sawab-E-Taa’at-O-Zohad,
Har Tabiyat Idhar Nahi Aati…
Hai Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hun,
Warna Kia Baat Kar Nahi Aati…
Kion Na Cheekhon Ke Yaad Karte Hain,
Meri Aawaz Gar Nahii Aatii..
Daagh-E-Dil Gar Nazar Nahi Aata..
Bu Bhi Aye Charah_Gar Nahi Aati…
Hum Wahan Hai Jahan Se Ham Ko Bhi,
Kuch Hamari Khabar Nahi Aati…
Marte Hain Aarzoo Mein Marne Ki,
Mout Aati Hai Par Nahi Aati…
Ka’bah Kis Munh Se Jao Ge ‘Ghalib’
Sharam Tum Ko Magar Nahi Aati…
Saturday, 22 February 2020
Khat Hi Kiyun Likhe Jayen - Jaun Elia || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Khat Hi Kiyun Likhe Jayen - Jaun Elia || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Ghazal: Khat Hi Kiyun Likhe Jayen
Poet: Jaun Elia
Voice: ZiShi Rajpoot
============================================
#SadPoetry
==============================================
Tum Mujhe Btao To
Khat Hi Kiyun Likhe Jayen
Fariha, Nigareena
Tum Ne Mujh Ko Likha Hai,
Mere Khat Jala Deejiye
Mujh Ko Fikr Rehti Hai,
Aap Inhein Ganwa Deejiye
Ap Ka Koi Sathi, Dekh Le To Kya Ho Ga
Dekhiye Main Kehti Hoon, Yeh Bahot Bura Ho Ga
Main Bhi Kuchh Kahoon Tum Se
Fariha, Nigareena
Ai Banazuki Meena,
Itr-E-Be-Nazina
Rashk-E-Sar-Ba-Sina
Main Tumhaare Har Khat Ko, Lauh-E-Dil Samajhta Hoon
Lauh-E-Dill Jala Doon Kya
Jo Bhi Satar Hai In Ki,
Kehkashan Hai Rishton Ki
Kehkashan Luta Doon Kya
Hai Sawad-E-Beenai In Ka Jo Bhi Nuqta Hai
Main Inhein Ganwa Doon Kya
Jo Bhi Harf Hai In Ka,
Naqsh-E-Jaan Hai Jaanaana hai
Naqsh-E-Jaan Mita Doon Kya
Lauh-E-Dill Jala Doon Kya
Kehkashan Luta Doon Kya
Naqsh-E-Jaan Mita Doon Kya
Mujh Ko Likh Ke Khat Jaanam
Apne Dhyan Mein Shayad
Khwaab, Khwaab Jazbon Ke
Khwaab, Khwaab Lamhon Mein
Yun Hi Be Khayalana, Jurm Kar Gayi Ho Tum,
Aur Khayal Aane Par, Uss Se Dar Gayi Ho Tum
Jurm Ke Tasawwur Mein, Gar Yeh Khat Likhe Tum Ne,
Phir To Meri Raaye Mein, Jurm Hi Kiya Tum Ne
Jurm Kyon Kiye Jaayen
Khat Hi Kiyun Likhe Jayen
Wednesday, 19 February 2020
Dekh Kar Aan Ban Apno Ki || Urdu Poetry || KitaB e IshQ
Dekh Kar Aan Ban Apno Ki || Urdu Poetry || KitaB e IshQ
Ghazal: Dekh Kar Aan Ban Apno Ki
Poet: Atbaf Abrak
Voice: Zishi Rajpoot
============================================
#UrduPoetry
==============================================
Dekh Kar Aan Ban Apno Ki || Urdu Poetry || KitaB e IshQ
Dekh Kar Aan Ban Apno Ki,
Kiyon Nikalti Hai Jan Apno Ki,
Gair To Phir Gair Darguzar Kar De,
Kon Roky Ga Zaban Apno Ki,
Teer Kaisy Na Dil Mein Wo Utray,
Jisko Chory Kamaan Apno Ki,
Chah e Yousaf Mein Phaikna Unka,
Is Pe Aah o Fagaan Apno Ki,
Jab Se Hon Bechny Ko Rakha Gya,
Tab Se Chamki Dukan Apno Ki,
Aary Ikhlaq Aa Gaye Warna,
Likhta Main Dastan Apno Ki,
Chhor De Sari Mehfilein Abrak,
Tujhse Ghat'ti Hai Shan Apno Ki,
Atbaf Abrak
Tuesday, 18 February 2020
Wo Chaye Yaad Ati Hai || Sad Real Story || KitaB e IshQ
Wo Chaye Yaad Ati Hai || Sad Real Story || KitaB e IshQ
Story: Wo Chaye Yaad Ati Hai
Writer: Unkown
Voice: Zishi Rajpoot
============================================
#SadRealstory
==============================================
Wo Chaye Yaad Ati Hai,
Ek Din Mujhe Uski Call Ai,
Aur Wo Mujhe Kehny Lagi,
Mujhe Chaye Bnani Aa Gai Hai,
Kya Tum Mere Hath Ki Bani Chaye Nhi Piyo Gy?
Aur Main Janoon Ki Had Tak Usy Chahny Wala,
Uski Bat Ko Bhala Kaisy Taal Sakta Tha,
Sunday, 16 February 2020
Abhi Woh Dard Baqi Hai || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Abhi Woh Dard Baqi Hai || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Ghazal: Abhi Woh Dard Baqi Hai
Poet: Unkown
Voice: Zishi Rajpoot
============================================
#SadPoetry
==============================================
Abhi Woh Dard Baqi Hai || Sad Poetry || KitaB e IshQ
Agarchay Waqt Marham Hai
Magar Kuch Waqt Lagta Hai
Kisi Ko Bhool Jane Mein
Dobara Dil Basanay Mein
Abhi Kuch Waqt Lagna Hai
Abhi Wo Waqt Baqi Hai
Mein Kesay Nai Ulfat Main
Apni Zaat Ko Gum Kar Doon
K Mere Jism Wa Wajdaan Main
Abhi Woh Shakhs Baqi Hai
Abhi Uss Shakhs Ki Mujh Par
Nigah-E-Sarf Baqi Hai
Abhi To Ishq K Raston Ki
Mujh Per Gard Baqi Hai
Abhi Woh Dard Baqi Hai
Subscribe to:
Posts (Atom)