Saturday, 29 February 2020

Tum Kaha Jaoge Ham Kahan Jayenge-Jaun Elia || Urdu Poetry || KitaB e IshQ


Tum Kaha Jaoge Ham Kahan Jayenge-Jaun Elia || Urdu Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Tum Kaha Jaoge Ham Kahan Jayenge
Poet:     Jaun Elia
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#UrduPoetry
============================================
Jaun Elia

Tum Kaha Jaoge Ham Kahan Jayenge
Hai Bikharne Ko Yeh Mehfil-e-Rang Boo,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge

Har Taraf Ho Rahi hai Yahi Guftagoo,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge

Har Mata-e-Nafas,Nazar Aahang ki,
Hum ko Yaran hawas Thi Bohot Rang ki
Gul Zameen Se Ubalne ko hai Ab Lahoo,
Tum kahan Jao ge hum kahan jayein ge

Awal e Shab Ka Mehtab Bhi Ja Chuka,
Sehn e Mekhana Se Ab Ufaq Mein Kahein,
Akhr e Shab Hai Khali Hain Jam o Suboo,
Tum Kahan Jaoge, Hum Kahan Jayein ge

Koi Hasil Na Tha Aarzoo Ka Magar,
Saanha Ab hai Yeh Aarzoo Bhi Nahin
Waqt ki is Masafat Mein Be Aarzoo,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge

Kis Qadar Door Se Lout kar Aye hain,
Yoon kaho Umer Barbad kar Aye hain
Tha Saraab Apna Sarmaye-e-justaju,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge

ik Junoon Tha ki Aabad ho shehr-e-jaan
Aur Aabad Jab Shehr-e-Jaan ho gaya
Hain yeh Sargoshiyan Dar Badar ku baku,
Tum kahan jao ge hum kahan jayein ge

Dasht Mein Raqs e Shouk e Baharan Ab Kahan,
Baad PeMai Deewana War Ab Kahan,
Bas Guzarne Ko Hai Mousam e Hao Hoo
Tum Kahan Jaoge, Tum Kahan Jayein Gy,

Hum Hain Ruswa Dakkan Dilli e Lakhnao
Apni Kya Zindagi Apni Kya Aabru,
MEER Dilli Se Nikly Gaye Lakhnao,
Tum Kahan Jao Gy, Hum Kahan Jayein Gy...!

No comments:

Post a Comment