Tuesday, 31 March 2020

Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do || Urdu Poetry || KitaB e IshQ


Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do || Urdu Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do
Poet:     Unknown
Voice:    ZiShi Rajpoot

============================================ 
#UrduPoetry #EhsasMuhabbatKaMeriZaatPeRakhDo
============================================
Urdu Poetry

Ehsas Muhabbat Ka Meri Zaat Pe Rakh Do,
Tum Aisa Karo Hath Mein Mere Hath Rakh Do,

Maloom Hai Dharkan Ka Taqaza Bhi Hai Lekin,
Ye Bat Kisi KHaas Mulaqat Pe Rakh Do,

Youn Pyar Se Milna Bhi Munasib Nhi Lagta,
Ye Khwaab Ka Qissa Hai Isy Raat Pe Rakh Do,

Izhaar Zaruri Hai To Keh Do Zubaan Se,
Ye Dil Ki Kahani Hai Rawayat Pe Rakh Do,

Ye Pyar Ki Khushbo Mein Naya Rakh Bhary Ga,
Ik Phool Utha Kar Mere Jazbaat Pe Rakh Do,

Har Waqt Tumhare Hi Tassawar Mein Rahon Main,
Jadoo Sa Koi Mere Khayalat Pe Rakh Do,

Ik Main Keh Mere Sheher Mein Barish Nahi Hoti,
Ik Tum Keh Mulaqat Ko Barsaat Pe Rakh Do,

Manoo Gi Seher Tab Hi Keh Jab Bat Bany Gi,
Is Bar Meri Jeet Meri Maat Mein Rakh Do...!

Saturday, 28 March 2020

Chalo Phir Laut Jaein Hum || Sad Poetry || KitaB e IshQ


Chalo Phir Laut Jaein Hum || Sad Poetry || KitaB e IshQ

               چلو پھر لوٹ جائیں ہم
Ghazal: Chalo Phir Laut Jaein Hum
Poet:     Liaqat Jaffari
Voice:    ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry #ChaloPhirLautJaeinHum
============================================
Sad Poetry

Chalo Phir Laut Jaein Hum,
Jahan Pe Kuch Nahein Badla,
Na Maah o Saal Hain Badle,
Na Maazi Haal Hain Badle,
Wahan Pe Laut Jaein Hum,
Jahan Maloom Ho Ke Bas,
Nahein Kuch Aur Badla Hai,
Faqat Hum Tum Hi Badle Hain,
Wahi Mitti Wahi Khushboo,
Wahi Soondhi Fizaein Hain,
Wahi Gulzaar Manzar To,
Wahi Man Chahi Rahein Hain,
Wahi Bachpan Wahi Burhe,
Wahi Sub Hain Jawaan Qissy,

Chalo Phir Laut Jaein Hum,
Jahan Pe Kuch Nahein Badla,

Magar Ab Tum Nahein Ho Wo,
Magar Ab Main Nahei HOn Wo,
Wahi Badil Wahi Baarish,
Wahi Kashti Hai Kagaz ki,
Wahi Dhoopein Wahi Saaye,
Wahi Din Raat Man Bhaye,
Wahi Ronaq Wahi Khushiyan,
Wahi Jeeny Ki Chahat Hai,

Chalo Phir Laut Jaein Hum,
Jahan Pe Kuch Nahein Badla,

Magar Bekaar Hai Sub Kuch,
Agar Hum... Hum Nahein Hain Wo,
Sabhi Kuch Phir Khayalon Mein,
Yahan Kiyon Jee Raha Hon Main,
Jo Ghao Bhar Chuka Kab Ka,
Younhi Phir See Raha Hon Main,
Sabhi Kuch Wo Purana Hai,
Sabhi Kuch Phir Suhana Hai,
Agar Hai Kuch Naya To Bas,
Nahein Ho Tum..Nahein Hain Hum,
Gaya Wo Laut Aye Phir,
Yahan Aisa Nhein Hota,
Hai Rasta Ek Tarfa Ye,
Koi Wapis Nahein Hota,
Magar Kab Koi Hai Samjha,
Magar Kab Koi Hai Mana,
Sabhi Mur Mur Ke Hain Takty,
Sabhi Ye Aas Hain Marty,
Chalo Phir Laut Jaein Hum,
Jahan Pe Kuch Nhi Badla...!

Thursday, 26 March 2020

Kitna Dushwar Hai Jazbon Ki Tijarat Karna || Sad Poetry || KitaB e IshQ


Kitna Dushwar Hai Jazbon Ki Tijarat Karna || Sad Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Kitna Dushwar Hai Jazbon Ki Tijarat Karna
Poet:     Liaqat Jaffari
Voice:    ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry #LiaqatJaffariPoetry
============================================
Liaqat Jaffari

Kitna Dushwar Hai Jazbon Ki Tijarat Karna,
Ek Hi Shakhs Se Do Bar Muhabbat Karna,

Jis Ko Tum Chaho Koi Aur Na Chahe Usko,
IsKo Kehte Hain Muhabbat Mein Siyasat Karna,

Surmai Aankh Haseen Jism Gulabi Chehra,
IsKo Kehte Hain Kitabat Pe Kitabat Karna,

Dil Ki Takhti Pe Bhi Aayat Likhi Rehti Hain,
Waqt Mil Jaye To Un Ki Bhi Tilawat Karna,

Dekh Lena Bari Taskeen Milegi Tum Ko,
Khud Se Ek Roz Kabhi Apni Hi Shikayat Karna,

Jis Mein Kuch Qabreen Hon Kuch Chehre Hon Kuch Yadein Hon,
Kitna Dushwar Hai Us Shehar Se Hijrat Karna...!

Tuesday, 24 March 2020

Ashaar Mere Youn To Zamane Ke Liye Hain || Urdu Poetry || Jan Nisar Akhtar

<iframe width="480" height="270" src="https://www.youtube.com/embed/eeqJqgsASWE?clip=

Ashaar Mere Youn To Zamane Ke Liye Hain || Urdu Poetry || Jan Nisar Akhtar



Ghazal: Ashaar Mere Youn To Zamane Ke Liye Hain

Poet:     Jan Nisar Akhtar

Voice:    ZiShi Rajpoot



============================================ 

#UrduPoetry #JanNisarAkhtarPoetry

============================================

Jan Nisar Akhtar



Ashaar Mere Youn To Zamane Ke Liye Hain,

Kuch Shair Faqat Unko Sunane Ke Liye Hain,



Ab Ye Bhi Nhi Thek Keh Har Dard Mita Dein,

Kuch Dard Kalejy Se Lageny K Liye Hain,



Socho To Bari Cheez Tehzeeb Badan Ki,

Warna Ye Faqat Aag Bujhany ke Liye Hain,



Ankhon Mein Jo Bhar Lo Ge To Kanton Se Chubhainge,

Ye Khwaab To Palkon Pe Sajany ke Liye Hain,



Dekhon Tere Hathon Ko To Lagta Hai Tere Hath,

Mandir Mein Faqat Deep Jalany Ke Liye Hain,



Ye Elam Ka Souda Ye Risale Ye Kitabein,

Ik Shakhs Ki Yadon Ko Bhulany Ke Liye Hain,

Saturday, 21 March 2020

Ashk e Nadan Se Kaho Bad Mein Pachtaeinge || Sad Poetry || Khalil Ur Reh...


Ashk e Nadan Se Kaho Bad Mein Pachtaeinge || Sad Poetry || Khalil Ur Rehman Qamar

Ghazal: Ashk e Nadan Se Kaho Bad Mein Pachtaeinge
Poet:    Khalil Ur Rehman Qamar
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================
#SadPoetry #KhalilUrRehmanQamarPoetry
============================================
Khalil Ur Rehman Qamar

Ashk e Nadan Se Kaho Bad Mein Pachtaeinge
Ap Gir Kar Meri Aankhon Se Kidhar Jaeinge,

Apne Lafzon Ko Taqallum Se Gira Kar Jana,
Apne Lehje Ki Thakawat Mein Bikhar Jaeinge,

Tum Se Le Jaeinge Hum Chheen Ke Waade Apne,
Hum To Qasmon Ki Sadaqat Se Bhi Dar Jaeinge,

Ik Tera Ghar Tha Meri Hadd e Musafit Lekin,
Ab Ye Socha Hai Keh Hum Had Se Guzar Jaeinge,

Apne Afkaar Jala Jaleinge Kagaz Kagaz,
Soch Mar Jaegi To Hum Aap Bhi Mar Jaeinge,

Is Se Pehly Keh Judai Ki Khabar Tum Se Mily,
Hum Ne Socha Hai Keh Hum Tum Se Bichar Jaeinge..!

Thursday, 19 March 2020

Youn Dil Ko Har Ik Shakhs Pe Wara Nhi Karty || Urdu Poetry || Fakhira Ba...


Youn Dil Ko Har Ik Shakhs Pe Wara Nhi Karty || Urdu Poetry || Fakhira Batool

Ghazal: Tumhara Akhri Message
Poet:    Khalil Ur Rehman Qamar
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#UrduPoetry
============================================
Fakhira Batool

Youn Dil Ko Har Ik Shakhs Pe Wara Nhi Karty,
Aankhon Mein Har Ik Aks Utara Nhi Karty,

Honi Hai To Ik Bar Hi Ho Jaye Muhabbat,
Ye Bhool Hai Aisi Keh Dubara Nhi Karty,

Acha Hova Main Ne Hi Faqat Dekha Magar Youn,
Mehfil Mein Kisi Ko Bhi Ishara Nhi Karty,

Mil Jaye Sar e Raah Jo Bichhra Hova Koi,
Chup Chaap Hi Takty Hain Pukara Nhi Karty,

Kiyon Pyar Ki Bazi Se Hova Is Darja Gurezan,
Kehty Hain Keh Badil Haar Ke Hara Nhi Karty,

Kajal Se Bhi Koi Kam Le Na Saheli,
Youn Dard Se Aankhon Ko Sanwara Nhi Karty...!

Tuesday, 17 March 2020

Tumhara Akhri Message || Sad Poetry || Khalil Ur Rehman Qamar || KitaBeIshQ


Tumhara Akhri Message || Sad Poetry || Khalil Ur Rehman Qamar || KitaBeIshQ

Ghazal: Tumhara Akhri Message
Poet:    Khalil Ur Rehman Qamar
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry
============================================
Khalil Ur Rehman Qamar

Ek Chehre Se Utarti Hain Naqabein Kitni,,
Log Kitny Humein Ik Shakhs Mein Mil Jate Hain,
Waqt Badle Ga To Is Bar Main Puchon Ga Usy,
Tum Badalty Ho To Kiyon Log Badal Jate Hain,

Tumhara Akhri Message,
Mere Inbox Mein Rakha Hai,
Us Mein Tumne Likha Hai,
Mujhe Ab Bhool Jana Tum,
Judai Phans Bhi Ho To,
Sabar Se Jhool Jana Tum,
Mujhe Apni Qassam Di Hai,
Meri To Jaan Leli Hai,
Magar Mein Jaan De Kar Bhi,
Akhir Tak Nibhaon Ga,
Main Tujhko Bhool Jaon Ga,
Magar Tum Se Faqat Meri,
Zara Si Ye Guzarish Hai,
Meri Ankhon Mein Mat Rehna,
Mere Dil Se Utar Jana,
Bhoolany Bhool Jane Mein,
Tujhe Main Yaad Kar Lon To,
Mujhe Tum Yaad Na Ana,
Kabhi Bhi Yaad Na Ana...!

Sunday, 15 March 2020

Udas Larki - Fakhira Batool || Sad Poetry || KitaB e IshQ


Udas Larki - Fakhira Batool || Sad Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Udas Larki
Poet:     Fakhira Batool
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry
============================================
Fakhira Batool

Udas Larki
Udas Larki Jo Ban Pare To
Ye Khud Se Kehna Kabhi To Jana
Keh TumKo Aati Hai Yaad Ab Bhi
Wo Ek Sunder Udaas Larki
Wo Khoi Khoi Si Aankhon Wali,
Wo Uljhi Uljhi Si Sochon Wali,
Wo Jhooti Muskan Ko Labon Par Sajany Wali,
Wo Apny Bare Mein
Dheere Dheere TumKo Sub Kuch Btane Wali,
Wo Bat Be Bat
Rooth Kar Maan Jane Wali,
Kabhi Kabhi To Hisaab o Wahad Se Bhi Yad
Barh kar hai Any Wali
Stany Wali Manany Wali
Wo Ek Sunder Udaas Larki

Saturday, 14 March 2020

Dasht Mein Pyas Bujhate Hovy Mar Jate Hain || Sad Poetry || KitaB e IshQ


Dasht Mein Pyas Bujhate Hovy Mar Jate Hain || Sad Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Dasht Mein Pyas Bujhate Hovy Mar Jate Hain
Poet:     Abbas Tabish
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry
============================================
Abbas Tabish

Dasht Mein Pyas Bujhate Hovy Mar Jate Hain,
Hum Parinde kahin Jate Hovy Mar Jate Hain,

Hum Hain Sukhe Hove Talab Pe BaiThe Hove Hans,
Jo Talluq Ko Nibhate Hove Mar Jate Hain,

Ghar Pohanchta Hai Koi Aur Hamare Jaisa,
Hum Tere Sheher Se Jate Hove Mar Jate Hain,

Kis Tarha Log Chale Jate Hain uTh kar Chup-Chap,
Hum To Ye Dhyan Mein Late Hove Mar Jate Hain,

Un ke Bhi Qatal ka ilzam Hamare Sar Hai,
Jo Hamein Zaher Pilate hove Mar Jate Hain,

Ye Mohabbat ki kahani Nahin Marti Lekin,
Log Kirdar Nibhate hove Mar Jate Hain,

Hum Hain Wo TuTi Hoi Kashtiyon Wale 'Tabish'
Jo Kinaron ko Milate hove Mar Jate Hain...!

Thursday, 12 March 2020

Barishon Ke Mousam Mein || Barish Poetry || Sad Poetry || KitaB e IshQ


Barishon Ke Mousam Mein || Barish Poetry || Sad Poetry || KitaB e IshQ

Ghazal: Barishon Ke Mousam Mein
Poet:     Unknown
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry #BarishPoetry
============================================

Barishon Ke Mousam Mein
Dil Ki Sar Zameenon Par
Gard Kiyon Bikharti hai.?

Iss Tarha Kay Mosam Mein
Phool Kiyon Nahin Khilte.?
Log Kiyon Nahin Milte?

Kiyon Faqat ye Tanhai
Sath Sath Rehti Hai?
Kiyon Bicharne Walon Ki
Yaad Sath Rehti Hai.?

Itni Tezz Barish Mein
Dil Kay Aainey par Sey
Aks Kiyon Nahin Dhulte?
Zakham Kyun Nahin Silte.?
Neend Kiyon Nahin Aati.?

Barishon Kay Mosam Mein
Aankh Kiyon Barasti hai.?
Ashk Kiyon Nahin Thamte.?
Barishon Kay Mosam Mein...!

Wednesday, 11 March 2020

Best Heart Touching Urdu Poetry - Part 2 || 2 lines Poetry || KitaB e IshQ


Best Heart Touching Urdu Poetry - Part 2 || 2 lines Poetry || KitaB e IshQ


Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================
#2LinesPoetry
==============================================
Other 2 Lines Poetry Videos:👇

👉 https://youtu.be/eluzin8uQt8
👉 https://youtu.be/zKqtCRBeG-w
👉 https://youtu.be/3a2sfqUwsRw
👉 https://youtu.be/6u9SgzdvoDY
👉 https://youtu.be/Y9FqDSniPEE

Tuesday, 10 March 2020

Judai Ki Paanchvi Salgirah || Sad Poetry || Amjad Islam Amjad


Judai Ki Paanchvi Salgirah || Sad Poetry || Amjad Islam Amjad

Ghazal: Judai Ki Paanchvi Salgirah
Poet:     Amjad Islam Amjad
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry
============================================
Amjad Islam Amjad

Judai Ki Paanchvi Salgirah
Jee Mein Hai Aaj Ki Shab Us Ky Liye Jaag Ky Kati Jaye
Wo Jo Aankhon Se Pary
Ajnabi Dais Ki Gumnam Hawao Mein Kahin Bethi Hai
Kya Mohabbat Ky Liye Ye Bhi Zaroori Hai
K Main Us Ky Chahrey Ko
Khad-O-Khaal Mein Laa Ker Daikho?
Sach To Ye Hai Ky Mujhe Yaad Nahi,
Uski Jabeen Keisi Thi?
Hont Kaisy Thy, Badan Kaisa Tha,
Aankhein Kya Thein?
Bas Yahi Yaad Hai Ky Wo Jeisi Nazar Aati Thi
Us Se Kahein Achi Thi.

(Ye Ma-O-Saal Ka Toofaan Bohat Zaalim Hai
Wo Agar Paas Bhi Hoti To Kisy Elam Hai Keisi Hoti?)

Youn To Har Raat Mere Dil Pe Giraan Kat'ti hai,
Phir Bhi Aye Bhooly Howey, Tu Hi Bataa
Gham Ki Zanjeer Bhala
Jagty, Sochty Rahne Se Kahaan Kat'ti Hai
Ye Jo Aahat Si Abhi Nikhat-E-Gul Ki Tarah Phaili Hai,
Tere Qadamo Ki Sada Lagti Hai
Jab bhi Koi Jahaaz
Yaad Ki Shammaa Liye Gham Ki Be-chein Hawaao Se Guzartaa Hai To Dil
Shaam-E-Furqat K Tasawur Se Laraz Uthta Hai
Shaam-E-Furqat! Jo Haqeeqat Hai Magar Khuwaab Numaa Lagti Hai
Chaand Jab Abar K Tukro Mein Safar Kartaa Hai To Youn Lagtaa Hai
Main Bhi Ik Abar Ka Tukraa Hon Jise Tera Wisaal
Ek Lamhe Ki Rafaqat Mein Mila
Tera Ik Lamhaa-O-Wisaal
Daaimi Hijar K Undooh-E-Musalsal Ke Ewaz Bar Nahi!
Aye Mujhe Abar K Tukre Ki Tarha Chor K Jaane Waale
Tere Bakhshy Hovy Lamhe K Ewaz
Kya Mujhe Dena Paraa, Is Se Sarokaar Nahi
Paanchvi Salgirah Aaj Judai Ki  Manao Shab Bher
Shaam-E-Furqat Ki Tarha, Ashk Bahao Shab Bher
Phir Airport Ki Railing Per Tika Key Kohni
Teri Rukhsat Ka Samaa Dehyan Mein Lao Shab Bher
Tu Jo Roti Hui Aankhoo Se Pare
Ajnabi Dais Ki Gumnam Hawao Mein Kahin Bethi Hai

Amjad Islam Amjad

Sunday, 8 March 2020

Apna Khaka Lagta Hoon-Jaun Elia || Sad Poetry || Kitab e ishq


Apna Khaka Lagta Hoon-Jaun Elia || Sad Poetry || Kitab e ishq

Ghazal: Apna Khaka Lagta Hoon
Poet:     Jaun Elia
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry
============================================

Poet: Jaun Elia

Apna Khaka Lagta Hoon
Ek Tamasha Lagta Hoon

Aaieno'n Ko Zang Laga
Ab Mein Kaisa Lagta Hoon

Ab Mein Koi Shakhs Nahi
Uska Saya Lagta Hoon

Sare Rishte Tishna Hain
Kya Mein Dariya Lagta Hoon

Us Se Gale Mil Kar Khud Ko
Tanha Tanha Lagta Hoon

Khud Ko Mein Sab Ankho'n Mein
Dhundla Dhundla Lagta Hoon

Mein Har Lamha Us Ghar Se
Jane Wala Lagta Hoon

Kya Hue Wo Sab Log K Main
Sona Sona Lagta Hoon

Maslihat Is Mein Kya Meri
Toota Phoota Lagta Hoon

Kya Tumko Is Haal Mein Bhi
Mein Duniya Ka Lagta Hoon

Kab Ka Rogi Hoon Waise
Sheher-e-Maseeha Lagta Hoon

Mera Taalu Tar Kar Do
Sach Much Piyasa Lagta Hoon

Mujhse Kama Lo Kuch Paise
Zinda Murda Lagta Hoon

Mein Ne Sahe Hain Makar Apne
Ab Bechara Lagta Hoon

Friday, 6 March 2020

Main Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Jana || Sad Poetry || Mohsin Naqvi


Main Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Jana || Sad Poetry || Mohsin Naqvi

Ghazal: Main Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Jana
Poet:     Mohsin Naqvi
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry
============================================
Mohsin Naqvi
Main Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Janaa,
Jaisy Mehtab Ko Be Ant Samunder Chahy,
Jaisy Sooraj Ki Kiran Seep K Dil Mein Utre,
Jaisy Khushbo Ko Hawa, Rang Se Hat Kar Chahy,
Jaisy Pathar K Kalejy Se Kiran Phot'ti Hai,
Jaisy Ghonchy Khuly Mousam Se Hina Manty Hain,
Jaisy Khwabon Mein Khyalon Mein Kaman Tut'ti Hai,
Jaisy Baarish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hain,
Mera Har Khwab Mere Such Ki Gawahi Dega,
Wassat e Deed Ne Tujhse Teri Khwahish Ki Hai,
Mere Sochon Mein Kabhi Dekh Sarapa Apna,
Main Ne Duniya Se Alag Teri Parastish Ki Hai,
Khwahish e Deed Ka Mousam Kabhi Dhudnla Jo Hova,
Nooch Dali Hain Zamany  Ki Naqabein Main Ne,
Teri Palkon Pe Utarti Hoi Subhon K liye,
Toor Dali Hain Sitaron Ki Tanabein Mein Ne,
Main Ne Chaha Keh Tere Hussan Ki Gulnar Fiza,
Meri Gazlon Ki Qataron Se Mehakti Jaye,
Main Ne Chaha Keh Mere Fan K Gulistan Ki Bahar,
Teri Aankhon K Gulabon Se Mehakti Jaye,
Tyy To Ye Tha Keh Sajata Rahy Lafzon K Kanwal,
Mere Khamoosh Khayalon Mein Takallum Tera,
Raqs Karta Rahy, Bharta Rahy, Khushbo Ka Khumar,
Meri Khwahish K Jazeeron Mein Takallum Tera,
To Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran,
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki,
Meri Saanson Mein Masihai To Thi Lekin To Bhi,
Charah e Zakham e Ghum e Deeda Tar Kar Na Saki,
Tujhko Maloom Hi Kab Hai Keh Kisi Dard Ka Daag,
Aankh Se Dil Mein Utar Jaye To Kya Hota Hai,
Tu Keh Seemab Tabiyat Hai Tujhe Kya Maloom,
Mousam e Hijar Thehar Jaye To Kya Hota Hai,
Tu Ne Is Mor Pe Tora Hai Talluq Keh Jahan,
Dekh Sakta Nhi Koi Bhi Palat Kar Janaa,
Ab Ye Aalam Hai Keh Aankhein Jo Khulein Gi Apni,
Yaad AYe Ga Teri Deed Ka Manzar Janaa,
Mujh se Maangy Ga Tere Ahd e Muhabbat Ka Hisaab,
Tere Hijraan Ka Dehakta Hova Mehshar Janaa,
Youn Mere Dil K Brabar Tere Ghum Aya Hai,
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janaa,
Jaisy Mehtab Ko Be Ant Samunder Chahy,
Main Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Janaa,

Wednesday, 4 March 2020

Yeh Jo Saanp Seerhi Ka Khail Hai || Sad Poetry || Amjad Islam Amjad


Yeh Jo Saanp Seerhi Ka Khail Hai || Sad Poetry || Amjad Islam Amjad

Ghazal: Yeh Jo Saanp Seerhi Ka Khail Hai
Poet:     Amjad Islam Amjad
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#Sad_Poetry
============================================
Amjad Islam Amjad

Yeh Jo Saanp Seerhi Ka Khail Hai,
Abhi Saath Thay Dono HamNawa,

Wo Bhi Ek Pay, Main Bhi Ek Pay
Usay Seerhi Mili Wo Charh Gaya


Mujhe Raastay Men he Das liya
Mere Bakht K Kisi Saanp Ne

Bari Door Say Parra lotna
Zakham Kha K Apny Naseeb Ka

Wo Nina'way(99) Pay Ponch Gaya
Usy 1 Number Tha Chahiye
Jo Nhi Mila So Nhi Mila

Main Dus(10) K Phair Me Ghir Gya
Jab Barha To Barhta Chala Gaya

Bus ik Choky Ki baat Thi
Par Us sy Jeetna Meri Maat Thi

Main Ne Jaan K Gotti Ghalt Chali
Aur  Saanp k Munh me daal di

Ye Jo Pyar Ha Kabhi Sochna
Yeh Bhi Saanp Seerhi ka khail hai

Monday, 2 March 2020

Ojhal Sahi Nigah Se, Dooba Nahi Hoon Main || Urdu Poetry || Amjad Islam ...


Ojhal Sahi Nigah Se, Dooba Nahi Hoon Main || Urdu Poetry || Amjad Islam Amjad

Ghazal: Ojhal Sahi Nigah Se, Dooba Nahi Hoon Main
Poet:     Amjad Islam Amjad
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#UrduPoetry
============================================
Amjad Islam Amjad

Ojhal Sahi Nigah Se, Dooba Nahi Hon Main
Ay Raat Khabar-Daar, K Hara Nahi Hon Main

Darpesh Subh-O-Shaam Yehi Kash-Makash Hai Ab
Us Ka Banon Main Kaisay K Apna Nahi Hon Main

Mujh Ko Farishta Honay Ka Dava Nahi Magar
Jitna Bura Samajhtay Ho Utna Nahi Hon Main

Is Tarha Phair Phair K Baatein Na Kijiye
Lehjay Ka Rukh Samajhta Hon Bacha Nahi Hon Main

Mumkin Nahi Hai Mujh Se Yeh Tarz-E-Munaafiqat
Duniya Tere Mizaaj Ka Banda Nahi Hon Main

Amjad Thi Bheer Aesi Kay Chaltay Chalay Gaye
Girnay Ka Aesa Khauf Tha Thehra Nahi Hon Main

Khud Pe Jab Dasht Ki Wehshat Ko Musallat KaronGa || Sad Poetry || Kitab ...


Khud Pe Jab Dasht Ki Wehshat Ko Musallat KaronGa || Sad Poetry || Kitab e IshQ

Ghazal: Khud Pe Jab Dasht Ki Wehshat Ko Musallat KaronGa
Poet:     Tehzeeb Hafi
Voice:   ZiShi Rajpoot

============================================ 
#SadPoetry
============================================
Tehzeeb Hafi

Khud Pe Jab Dasht Ki Wehshat Ko Musallat Karun Ga.
Is Qadar Khaak Uraon Ga, Qayamat Karon Ga..

Hijar Ki Raat, Meri Jaan Ko Ai Hui Hai..
Bach Gaya To Main Muhabbat Ki Muzammat Karon Ga..

Jis Ki Saaye Mein Tujhe Pehlay Pehal Dekha Tha..
Main Usi Pairr Ke Nechay Teri Bait Karon Ga..

Ab Tere Raaz Smbhalay Nahi Jatay Mujh Se..
Main Kisi Roz Amaanat Mein Khyanat Karon ga..

Teri Yaadon Ne Agar Hath Battaya Mera..
Apny Tootay Huay Khawabon Ki Murammat Karon Ga..

Lailatul Qadar Guzaron Ga Kisi Jangle Mein
Noor Barsy Ga Darakhton Ki Imamat Karonga...!