Tuesday, 10 March 2020
Judai Ki Paanchvi Salgirah || Sad Poetry || Amjad Islam Amjad
Judai Ki Paanchvi Salgirah || Sad Poetry || Amjad Islam Amjad
Ghazal: Judai Ki Paanchvi Salgirah
Poet: Amjad Islam Amjad
Voice: ZiShi Rajpoot
============================================
#SadPoetry
============================================
Amjad Islam Amjad
Judai Ki Paanchvi Salgirah
Jee Mein Hai Aaj Ki Shab Us Ky Liye Jaag Ky Kati Jaye
Wo Jo Aankhon Se Pary
Ajnabi Dais Ki Gumnam Hawao Mein Kahin Bethi Hai
Kya Mohabbat Ky Liye Ye Bhi Zaroori Hai
K Main Us Ky Chahrey Ko
Khad-O-Khaal Mein Laa Ker Daikho?
Sach To Ye Hai Ky Mujhe Yaad Nahi,
Uski Jabeen Keisi Thi?
Hont Kaisy Thy, Badan Kaisa Tha,
Aankhein Kya Thein?
Bas Yahi Yaad Hai Ky Wo Jeisi Nazar Aati Thi
Us Se Kahein Achi Thi.
(Ye Ma-O-Saal Ka Toofaan Bohat Zaalim Hai
Wo Agar Paas Bhi Hoti To Kisy Elam Hai Keisi Hoti?)
Youn To Har Raat Mere Dil Pe Giraan Kat'ti hai,
Phir Bhi Aye Bhooly Howey, Tu Hi Bataa
Gham Ki Zanjeer Bhala
Jagty, Sochty Rahne Se Kahaan Kat'ti Hai
Ye Jo Aahat Si Abhi Nikhat-E-Gul Ki Tarah Phaili Hai,
Tere Qadamo Ki Sada Lagti Hai
Jab bhi Koi Jahaaz
Yaad Ki Shammaa Liye Gham Ki Be-chein Hawaao Se Guzartaa Hai To Dil
Shaam-E-Furqat K Tasawur Se Laraz Uthta Hai
Shaam-E-Furqat! Jo Haqeeqat Hai Magar Khuwaab Numaa Lagti Hai
Chaand Jab Abar K Tukro Mein Safar Kartaa Hai To Youn Lagtaa Hai
Main Bhi Ik Abar Ka Tukraa Hon Jise Tera Wisaal
Ek Lamhe Ki Rafaqat Mein Mila
Tera Ik Lamhaa-O-Wisaal
Daaimi Hijar K Undooh-E-Musalsal Ke Ewaz Bar Nahi!
Aye Mujhe Abar K Tukre Ki Tarha Chor K Jaane Waale
Tere Bakhshy Hovy Lamhe K Ewaz
Kya Mujhe Dena Paraa, Is Se Sarokaar Nahi
Paanchvi Salgirah Aaj Judai Ki Manao Shab Bher
Shaam-E-Furqat Ki Tarha, Ashk Bahao Shab Bher
Phir Airport Ki Railing Per Tika Key Kohni
Teri Rukhsat Ka Samaa Dehyan Mein Lao Shab Bher
Tu Jo Roti Hui Aankhoo Se Pare
Ajnabi Dais Ki Gumnam Hawao Mein Kahin Bethi Hai
Amjad Islam Amjad
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment